Skip to content
Library
Article

Bhagwan Vishwakarma: Srishti ke Shilpkar

Monika Jangra · 2025 · Hindi
Dighal, Beri, Jhajjar, Haryana

Vishwakarma Jayanti ke avsar par Bhagwan Vishwakarma ke mahatva aur unki pooja ki parampara par lekh.

Bhagwan Vishwakarma ko devtaon ka shilpkar maana jaata hai. Puranon ke anusaar unhone Indrapuri, Dwarka aur Lanka jaise nagaron ka nirmaan kiya. Har saal Vishwakarma Jayanti par kaarigar, mazdoor aur udyog apne auzaaron aur mashinon ki pooja karte hain. Yeh din shram aur kaushal ke samman ka prateek hai. Samaj ke liye yeh parv ekta aur apni kala par garv karne ka avsar hai.

Contributed by Monika Jangra